Monday, April 23, 2012

Pyar , Ishq, aor....................hum

chand dino ke pyar me wo dusron ko to apne aap ko bhool jaya karte he...kah do un longo se jo khte he ke hum pyar karte he, aor puche jane par, us pyar ka izhar karne se darte he.

Kuch lines me smjha pau aisi meri aokat kha, kelin padne ke bad kuch an-smjha lge aisa to ho nhi sakta....!!!!

phle bole ke wo mera jan pahchan wala he, fir bole ke wo mera dost he, fir bole ke wo mera sabse accha dost he, fir to had hi ho gai aor bole ke tm kya smjho dost kya hota he. Ye to bus meri jubani he, han lekin me janta hun ye sab ki khani he...

Jamae ki daud me pyar ko ek gahna bna liya jo phanna bhut jauri he, fir chahe apne pure kapde utar jaye; kise fikar he. Aor mjal he kisi ki jo is gahne ke bare me kuch bol de, kya jarurat kisi ki jo apki aokat ko duniyan ke samne khol de.

Ishq wale, deewane, aor is duniya ka sabse umda pyar karne wale wo apne aap ko khte he, lekin ye kon bataye unko ke aise hi madmast andhe longo ko duniya wale Ch....ya khte he. too-mera, me-teri...kuch aise hi bade bade wade wo mobile or social media par kiya karte he, aor ghar se mummi - papa ke aane ki khbar par apna apna room saf kiya karte he. 

Samjha do un aawara, nithalle, bad-dimag aasiqko ko.....hum bola nhi karte to isme humari kamjori nhi; unki bhalai he, Warna  ye to sirf chingari he, aag to humne kha abhi lagai he. 


0 comments:

Post a Comment